ek baar phir pattein ghir rahe hain,
ek baar phir mausam badal rahaa hai,
kaash waqt bhi yun hi badal jaataa,
kaash thodde faasle kam toh ho jaate...
kehne ko toh itne pal kal aur aaj ke darmiyaan aaye,
kehne ko toh itne pal kal aur aaj ke beech se gaye,
phir bhi aise kyun lagtaa hai sab waise kaa waisaa hai,
kuch bhi toh badlaa nahin... |